khwahish-e-wasl ke zindan mein rakkha hua hai khud ko ek shakhs ke imkan mein rakkha hua hai hausla padta nahin kaise uthaun us ko hijr ka dukh bhi to saman mein rakkha hua hai dekhne wale bhi hairan hue jate hain dil ne har zakhm namakdan mein rakkha hua hai titliyan phul samajhte hue aa jati hain us ki taswir ko gul-dan mein rakkha hua hai ek paristan mein thahraya hai us ishq ne aur dusre shakhs ko multan mein rakkha hua hai aate-jate hue dil us ke tasawwur mein rahe hijr is waste dalan mein rakkha hua hai aur to kuchh bhi nahin is mein fazilat aisi ek tajassus hai jo insan mein rakkha hua hai dil ki taskin ko ye baat bhi kya kam hai 'ayaz' us ne kuchh roz tujhe dhyan mein rakkha hua hai