khwahish-e-wasl ne ushshaq ko ruswa rakkha husn ne dilkash-o-khush-rang sarapa rakkha apne kirdar ke daghon ko chhupane ke liye mere aamal pe tanqid ko barpa rakkha mere na-karda gunahon ki numaish ke liye mujh ko zindan mein laga kar bada tala rakkha saf inkar na karne ke badal zalim ne meri dil-bastagi ko wada-e-farda rakkha kaun si chiz girani ki bulandi pe nahin khun-e-nahaq magar is daur ne sasta rakkha kar ke mahrum unhen aab-e-rawan se hum ne nam be-ab guzargahon ka dariya rakkha apne qad se mera qad dekha nikalta jo 'tuhur' kar ke sar mera qalam apna sar uncha rakkha