khwahish-e-wasl to be-kar nahin kar sakta wo meri did se inkar nahin kar sakta ek main hun ki tujhe pyar bahut karti hun ek tu hai ki ye iqrar nahin kar sakta waqt se aage nikalne ki tamanna hai mujhe tez to panw ki raftar nahin kar sakta tu mere pyar mein dawe to bahut karta hai barmala pyar ka izhaar nahin kar sakta kuchh bhi kar sakta hai lekin wo mera dushman-e-jaan pith pichhe wo kabhi war nahin kar sakta dekh sohni ki tarah tujh ko bhi dega ye dagha ye ghada tujh ko nadi par nahin kar sakta jo mujhe roz ye kahta hai 'tabassum' hai meri wo mera daman-e-dil tar nahin kar sakta