khwahish ko apne dard ke andar samet le pardaz bar-e-dosh hai tu par samet le apni talab ko ghair ki dahliz par na dal wo hath khinch gaya hai tu chadar samet le surkhi tulu-e-subh ki lauh-e-ufuq pe likh sare badan ka khun jabin par samet le yakja nahin kitab-e-hunar ke waraq hanuz ayyam-e-harf-harf ka daftar samet le jo ped hil chuke hain unhen aandhiyon pe chhod shayad hawa ye rah ke patthar samet le zinda lahu to shahr ki galiyon mein hai rawan 'shahid' ragon mein kaun ye mahshar samet le