ki jin se lahja badal ke tu bolta hai wo log

ki jin se lahja badal ke tu bolta hai wo log
malal us ka sahenge magar kahenge nahin

riayaton mein likhenge hamesh nam tera
ba-nam-e-jurm-e-wafa tohmaten dharenge nahin

hamara waqt to hans kar guzarne wala tha
magar ye ranj to ab rah se hatenge nahin

ai ishq tere mizajon ki khair ho ab ke
diye hain zakhm jo tu ne kabhi bharenge nahin

wo ek pal ki jise hum ne zindagi likkha
ab aur us ki aziyyat mein hum jiyenge nahin

so phir ye dil hi hamara hamare kaam aaya
kuchh aise phul khile jo kabhi khilenge nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close