ki phir paida meri khatir koi mushkil na ho jae pareshan hun ye mera dil kahin buzdil na ho jae bhanwar mein meri kashti ko yahi ehsas rahta hai dubone mein mera ye nakhuda shamil na ho jae isi ek khauf se main apni palken tak nahin jhapkun ki us ka chehra aankhon se meri ojhal na ho jae mujhe is baat ki har lamha itni fikr rahti hai ki us ki yaad se mera ye dil ghafil na ho jae kabhi us ki jafaon ki shikayat karna bhi chahun magar phir sochti hun wo kahin bad-dil na ho jae bhala thak haar kar baithun 'robina' to kahan baithun jise main chhodna chahun meri manzil na ho jae