kijiye na asiri mein agar zabt nafas ko de aag abhi shoala-e-awaz qafas ko bah jawe lahu ho ke dil-e-qafila-salar talim de nala jo mera bang-e-jaras ko pahunche hai nam-e-dagh-e-jigar ta sar-e-mizhgan shadab main rakhta hun sada aag se khas ko phirta hai udhar zulf mein shana to idhar dil ye duzd na laya kabhu khatir mein asas ko ai ishq na farhad bacha tujh se na parwez ba-khak barabar tu kiya na-kas-o-kas ko le sakte nahin sans teri ku ke muqayyad ta khun-e-jigar bich na ghota den nafas ko targhib na kar sair-e-chaman ki hamein 'sauda' har-chand hawa khub hai wan lek hawas ko