kinar-e-sham kya jalne laga hai har ek bujhta diya jalne laga hai tera bakhsha hua ek zakhm pyare chali thandi hawa jalne laga hai kisi ke aks mein thi aisi hiddat tapish se aaina jalne laga hai sitara sa koi aage rawan hai ki mera rasta jalne laga hai