kinare par jab us ne panw dale nadi pani se boli ja naha le use kahna koi rasta nikale barae nam hi mujh ko mana le gale se tu jise hans kar laga le wo sare shahr ko sar par utha le qayamat tak wahi zinda rahega jise dard-e-mohabbat mar dale ye jo sahra hai diwanon ka ghar hai na diwaren na darwaze na tale nahin hain ishq ki daulat se waqif meri barbaadiyon par hansne wale tasawwur mein teri aahat ko sun kar khushi se nach uthte hain ujale wo pagal hai gulon mein khojta hai pasine se tere khushbu bana le ab us se yun bichhadna bhi nahin hai use kahna nae pahlu nikale nahin hai ab kisi aandhi ke bas mein mere ghar se teri khushbu uda le