kirdar hi se zinat-e-aflak ho gae kirdar gir gaya khas-o-khashak ho gae hum jaise sada-lauh ko duniya ke hath se aisi saza mili hai ki chaalak ho gae shayad bahaar aa gai mauj-e-junun liye daman jo sil gae the wo phir chaak ho gae kal tak dawa-e-dard the kuchh log shahr mein aaj eqtidar kya mila zahhak ho gae qismat ka tha mazaq ki ek husn-e-ittifaq aai hamari yaad jab hum khak ho gae un ki nazar ne 'tahira' aisa asar kiya jo darmiyan hisab the sab pak ho gae