kis bharose pe nikalta ghar se bahar main akela chaar-su uthe hue hathon mein patthar main akela maslahat-zadon ki naw sahilon par ja lagi hai rah gaya sailab mein pisar-e-payambar main akela mere parcham par meri ruswai ki tahrir hai dushmanon se ja mila hai mera lashkar main akela main ye kis ku-e-hirasan mein hun taswir-e-sawal sab khade hain apne hi sayon se lag kar main akela sahn mein aahat hai koi aur na chhat par chap hai sham hai aur be-dili ki sidhiyon par main akela mujh se bahar zindagi aazadiyan aabaadiyan aur is tarik se kamre ke andar main akela sab ke aamalon ki 'nasik' lag chuki hain qimaten rah gaya hun ab sar-e-bazar-e-mahshar main akela