kis ki rakhti hain ye majal ankhiyan ki dekhen mukh tera sambhaal ankhiyan surma siti bana siyah baran aaj dil kun hui hain kal ankhiyan raqs anjhuwan ka be-usul nahin kaf-e-mizhgan sun de hain tal ankhiyan jab uthati hain girya sin tufan kaf-e-dariya karen rumal ankhiyan said karne kun dil ke mizhgan sun rupte hain bana ke jal ankhiyan dil kun ek til nahin mere aaram lagi hain jab sun tere nal ankhiyan dil ki khunin agar nahin to kyun is qadar hain tumhaari lal ankhiyan tir-e-mizhgan kaman-e-abru sin marti hain jigar mein bhaal ankhiyan 'abru' jab kabhi nigah karen tab le jaan tan sin ji nikal ankhiyan