kis kis ke aansu puchhoge aur kis kis ko bahlaoge ek din aaega tum bhi shamil un mein ho jaoge rang hawa main tair rahe hain titli ka bahrup liye sare rang utar jaenge tum gar hath lagaoge umr-e-aziz ganwai apni sayon ka pichha karte sae kis ke hath aae hain aur tum bhi kya paoge chauthe khunt ko ja to rahe ho lekin ye wo rasta hai tum ne agar mud kar dekha to patthar ke ho jaoge sail-e-hawadis mein hum sab ab patthar ban kar zinda hain kaise sher kahoge 'ishqi' kis ko sher sunaoge