kis ko bahlate ho shishe ka gulu tut gaya khum mere munh se laga de jo subu tut gaya kijo us zulf ko mashshat samajh kar shana lakh dil tute agar ek wo mu tut gaya kuchh khabar hai tujhe kahte hain tere zakhmi ka aaj phir chaak ka sine ke rafu tut gaya falak us dil-shikani ka to maza dekhega koi dil gar kabhi ai arbada-ju tut gaya thi muridon ke liye qalb ke sadme ki dalil shaikh ka raqs mein sam par jo wuzu tut gaya dhyan us shishe ka rakhna ki na hoga paiwand dil meri jaan agar yak sar-e-mu tut gaya us khud-ara ke raha hath mein nit aaina gham se aaina-dil hae na tu tut gaya mohtasib ne to kharabaat mein ki khun-rezi par sar-e-rind pe shab mai ka kadu tut gaya dekhna tar-e-mohabbat ki hai mushkil phir santh rishta-e-dosti ai 'lutf' kabhu tut gaya