kis mashaqqat se mujhe jism uthana pada hai sham hote hi tere shahr se jaana pada hai main tujhe hansta hua dekh ke ye bhul gaya ki mere chaaron taraf rota zamana pada hai jamma punji hai mere jism mein kuchh aansuon ki ye mera dil to nahin ek khazana pada hai der tak bagh ke kone mein koi aaya nahin baat karne ke liye khud ko bulana pada hai din ne dastak di to koi bhi nahin jaga tha aaj suraj se mujhe hath milana pada hai khali jaghon ki taraf kar ke ishaara 'qasim' kya batate ho yahan mera nishana pada hai