kis naz se wah hum ko mara ki tirchhi nigah hum ko mara sau pech mein la ke aakhir-e-kar ai zulf-e-siyah hum ko mara khwahinda tere the ai pari hum kyun khwah-na-khwah hum ko mara kabe ko jo hum chale buton ne kah kar gumrah hum ko mara shikwa hamein kuchh nahin falak se tu ne ai mah hum ko mara chah-e-zaqan-e-sanam dikha kar tu ne ai chah hum ko mara aise hain zaif mar gae hum jis ne par-e-kah hum ko mara us ki zulf-e-daraaz ne shab qissa-e-kotah hum ko mara shamshir-e-nigah se us ne be-maut khaliq hai gawah hum ko mara bose ki talab mein us ne 'goya' na-karda-gunah hum ko mara