kis wahm mein asir tere mubtala hue

kis wahm mein asir tere mubtala hue
kab ahl-e-shauq dam-e-wafa se riha hue

aazad ho ke aur bhi be-dast-o-pa hue
kis dard-e-la-ilaj mein hum mubtala hue

mandla rahe the jin ke saron par kulagh o bum
wo faizyab-e-saya-e-baal-e-huma hue

dil-dadgan-e-baadiya-e-sarsar-o-sumum
shahzadgan-e-mulk-e-nasim-o-saba hue

karte na the jo sahil o dariya mein imtiyaz
kashti bhanwar mein aai to wo nakhuda hue

rasta dikha saka na jinhen nur-e-aftab
jalne lage charag to wo rahnuma hue

pa-mardi-e-yaqin se jo mahrum hain wo log
apne rafiq-e-rah hue bhi to kya hue

kis shan se gae hain shahidan-e-ku-e-yar
qatil bhi hath utha ke sharik-e-dua hue

yaksani-e-hayat se ghabra gaya hai dil
muddat guzar gai koi tufan bapa hue

koshish thi farz hum ne bhi ki lekin is ke baad
apne tamam kaam supurd-e-khuda hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close