kise ab dastan apni sunaen muqabil aaine ke baith jaen jo aata hai guzar jata hai phir bhi zamin-e-dil ki khak ab kyun udaen hazaron log tishna-lab yahan hain wuzu kaise karen kaise nahaen andhera hi andhera har taraf hai charagh-e-dil kahan tak hum jalaen usi ek baat ka charcha bahut hai jise hum ne to chaha tha chhupaen chaman ka gosha gosha jal raha hai kisi chhoden yahan kis ko bachaen zamin ka ek tukda hai jahan par adab ke sath chalti hai hawaen musalsal zakhm ka parda kahan tak kahan tak tir kha kar muskuraen nazar ki shama raushan kar raha hun na jaane kab sitare dub jaen abhi itni mohabbat bhi bahut hai gae wo din ki tum ko aazmaen bichhauna bhi nahin hai aaj 'talib' tadap gham nind aansu kya bichhaen