kise dekhte kise puchhte ki hum aap kushta-e-haal the

kise dekhte kise puchhte ki hum aap kushta-e-haal the
sar-e-lab kuchh aur the masale pas-e-jaan kuchh aur sawal the

jo lahuluhan kiye gae sar-e-rah jo mar diye gae
wo shaghaal to na the dasht ke mere shahr hi ke ghazal the

utha parda ru-e-guman se jab to khula ajab hi tilsim-e-shab
wo tamam chehre bhi khwab the wo sab aaine bhi khayal the

badhe jitne rah mein pech-o-kham hua aur jazb-e-safar baham
jo malal the mere ham-qadam kahin thamne wale malal the

badi sabr-kash thin masafaten ki qadam qadam thin qayamaten
meri himmaten to nihaal thin mere hausle to bahaal the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close