kise KHabar hai ki kis ada par chala gaya hai

kise khabar hai ki kis ada par chala gaya hai
ye dil ki hairat ki intiha par chala gaya hai

charagh andar ki sazishon se bujhe hue hain
aur is ka ilzam bhi hawa par chala gaya hai

kabhi to zehnon pe zor dena ki waqt achchha
hamare jiwan se kis bina par chala gaya hai

main apne haq mein dalil koi bhi de na paya
mu’amla ab mera khuda par chala gaya hai

tere buzurgon mein koi ahl-e-sukhan nahin tha
'munir' tu kis sukhan-ada par chala gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close