kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai ki ye udasi hamare jismon se kis khushi mein lipat rahi hai ajib dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron mein bat rahi hai main us ko har roz bas yahi ek jhut sunne ko phone karta suno yahan koi masala hai tumhaari aawaz kat rahi hai mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko ye bel shayad kisi musibat mein hai jo mujh se lipat rahi hai ye waqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi jo fauj dushman ko apna salar girwi rakh kar palat rahi hai so is talluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab dur ho rahi hain ruki hui gadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai