kise khabar thi ki khud ko wo yun chhupaega aur apne naqsh ko lahron pe chhod jaega khamosh rahne ki aadat bhi mar deti hai tumhein ye zahr to andar se chat jaega kuchh aur der thahar jao khwab-zaron mein wo aks hi sahi lekin nazar to aaega bacha sako to bacha lo ye aasman ye zamin zara si der mein ye ashk phail jaega ye apne dhyan mein rakhna ki main na aaya to tulu-e-subh ki khatir kise bulaega bahut hua to yahi hoga ai mere 'khurshid' wo shakhs ja ke kabhi laut kar na aaega