kisi bhi lamha ghamon se najat hai hi nahin

kisi bhi lamha ghamon se najat hai hi nahin
hayat kahte hain jis ko hayat hai hi nahin

talash kijiye apnon mein kaun qatil hai
hamare qatl mein ghairon ka hath hai hi nahin

na chand tare na jugnu na chandni ki qaba
main raat kahta hun jis ko wo raat hai hi nahin

mujhe to zahr hi pina hai har zamane mein
mere nasib mein aab-e-hayat hai hi nahin

sar-e-salib jo main hans raha hun kyon na hansun
khushi ka lamha hai ye gham ki baat hai hi nahin

har ek samt tera nur hai jidhar dekhun
mere wajud mein meri to zat hai hi nahin

hazaron log mile pyar karne wale hamein
magar kisi mein tumhaari si baat hai hi nahin

wo mere pas hai phir bhi bahut akela hun
main us ke sath hun wo mere sath hai hi nahin

main kyon udas hun mat puchiyega is ka sabab
ajib baat hai ki koi baat hai hi nahin

hamare ishq mein shamil hawas kahan thi miyan
hamare ishq ki ye wardat hai hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close