kisi bhi taur gulistan ka karobar chale chaman pe aae phaban baad-e-nau-bahaar chale faza khamosh hai aur dil bhi hai udas udas khuda ke waste aise mein zikr-e-yar chale hamare zakhm ke tanke bhi aaj khul jaen kuchh is ada se abhi baad-e-nau-bahaar chale hamein zamane ne samjha tera hi diwana to hum bhi kar ke gareban ko tar tar chale 'kalim' ko to teri bazm bhi na ras aai wo apni dhun mein uthe aur su-e-dar chale