kisi ka chehra kisi par saja nahin deta kabhi fareb koi aaina nahin deta hasad ka rang pasandida rang hai sab ka yahan kisi ko koi ab dua nahin deta ek e'timad tha baqi so uth gaya wo bhi ki bhai bhai ke ghar ka pata nahin deta bujhae jab se hamare charag logon ne koi darakht hamein ab hawa nahin deta hamein khuda pe bharosa hai na-khuda pe nahin khuda jo deta hai wo na-khuda nahin deta