kisi ke narm takhatub pe yun laga mujh ko ki jaise sare masail ka hal mila mujh ko kisi maqam pe wo bhi bichhad gai mujh se nigah-e-shauq jo deti thi hausla mujh ko ki ham-safar ko samajhne laga khizar apna zaruraton ne kuchh aisa safar diya mujh ko tamam log hi dushman dikhai dete hain koi batae ki aakhir ye kya hua mujh ko main teri car ka ukhda hua koi purza sukun talab hai to meri jagah pe la mujh ko mera wajud bhi qaqnus se kam nahin hai miyan yaqin na aae to puri tarah jala mujh ko main aisa narm tabiat kabhi na tha pahle zarur lams koi us ka chhu gaya mujh ko main chah kar bhi tujhe qatl kar na paunga ye kis ka de diya tu ne bhi wasta mujh ko