kisi ke pyar mein har dam gul-o-gulzar sa rahna bina chakkhe kisi mai ko yun hi sarshaar sa rahna yaqin karna kisi ki zat par aur phir badal jaana kabhi laila kabhi majnun kabhi hushiyar sa rahna kabhi sang-e-malamat sah ke is duniya ko taj dena kabhi apne hi raste mein kisi diwar sa rahna tumhein kya ho gaya hai 'nilma' is dasht-e-wahshat mein kabhi chhup-chhup ke ro lena kabhi bimar sa rahna