kisi ke sath bhi us ne wafa nibhai kya bas is sawal pe deta rahun duhai kya jise na hosh hai khud ka na fikr duniya ki to us ko sochiye parwah-e-jag-hansai kya ab aasman mile ya mile qafas hum ko wo sath hon to hamein qaid kya rihai kya unhon ne khat nahin bheja pa ye bata qasid unhen hamari kabhi yaad bhi na aai kya bujhi bujhi si tabiat hai kyon meri yaro unhon ne phir meri jhuti qasam uthai kya tamam un ke bahane hain 'raaz' warna wo jab aa rahe hain to phir june kya july kya