kisi khamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha ye waqia hai ki shahr-e-qatil bujhe diye ki tarah se chup tha sahar ke aasar jab numayan hue to binai chhin chuki thi qubuliyat ka wo ek lamha mujassame ki tarah se chup tha kisi talluq ke tutne ka azab donon ke dil par utra main aks ban ke thahar gaya tha wo aaine ki tarah se chup tha padaw dale kisi ne aa ke hazar koson ki duriyon mein hamara dil ki kisi parinda ke ghonsle ki tarah se chup tha kahin se us ko bhi meri chahat ki kuchh dalilen mili thin shayad wo ab ke aaya to guzri shamon ke ek samay ki tarah se chup tha