kisi ki chahat kisi se baDh kar hamare jaise samajh rahe hain

kisi ki chahat kisi se badh kar hamare jaise samajh rahe hain
hua samundar mein jazb dariya kyon ishq wale samajh rahe hain

gham-e-mohabbat tadap udasi ko aap sachche samajh na pae
hamari haalat hamare jaise kuchh ek jhute samajh rahe hain

ye masala bhi hamari jaanib jahan se digar hi pesh aaya
wo ishq hum se karenge rishta nahin karenge samajh rahe hain

wo bad-hawasi mein chikhte hain nahin mohabbat nahin hai tum se
yaqin hamein is tarah se aa hi gaya ho jaise samajh rahe hain

jahan ki mahfil mein apni qimat hai jaise sahra mein koi dariya
to jin ko qimat nahin hai hum ko wo ret sare samajh rahe hain

utha rahe hain tumhaare misre suna rahe hain ghazal tumhaari
tumhein samajhna tha qismat-e-bad hai kaise kaise samajh rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close