kisi ki har nishani khatm kar di adhuri ek kahani khatm kar di aham kirdar main lagne laga jab musannif ne kahani khatm kar di talluq mein zaruri guftugu thi tabhi to be-zabani khatm kar di chaman mein baghban ki sazishon ne mahakti raat-rani khatm kar di jawani ko bachane mein musalsal bhari-puri jawani khatm kar di