kisi ki jab se jafaon ka silsila na raha dil-e-hazin mein mohabbat ka hausla na raha dayar-e-husn mein milti nahin hai jins-e-wafa dil-e-gharib ka ab un se wasta na raha hawa-e-yas ne sham-e-umid gul kar di kisi se ab koi shikwa bhi barmala na raha meri nazar ka taqaza bhala wo kya samjhen ki husn-o-ishq mein pahla sa rabta na raha ujad gaya hai kuchh is tarah ab dayar-e-wafa kahin bhi meri tamanna ka naqsh-e-pa na raha khudi na ho saki minnat-kash-e-nashat-e-wafa hamara hath kabhi mail-e-dua na raha 'kalim' kaun musibat mein kis ka hota hai dayar-e-dost mein koi bhi aashna na raha