kisi ki yaad ko apna shiar kar lenge faza-e-dahr ko hum sazgar kar lenge hum apne gham ko khushi mein shumar kar lenge khizan ke daur mein jashn-e-bahaar kar lenge rasai hogi jo is bazm mein kabhi apni nasib walon mein apna shumar kar lenge kabhi milega jo izn-e-ubudiyat hum ko to ek sans mein sajde hazar kar lenge raha karam jo tumhaara to bahr-e-hasti se hum apni kashti-e-ummid par kar lenge teri talash mein aaenge kaam dagh-e-jigar hum un se raushni-e-rah-guzar kar lenge khushi se milne lage hain wo aaj kal hum se hum apni zist ko ab khush-gawar kar lenge nazar hai dar pe hamari ki dam hai aankhon mein abhi kuchh aur tera intizar kar lenge hum apne khalq ki duniya sanwar kar 'khushtar' husul-e-rahmat-e-parwardigar kar lenge