kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin gulon pe aaj to aawara titliyan bhi nahin abhi ye haal hua is pe kashtiyan guzrin wo ganw jis pe kabhi chhain badliyan bhi nahin hamara ghar hai ki diwaron ki numaish hai koi kiwad to kya is mein khidkiyan bhi nahin garan thi shab to meri subh bhi hirasan hai abhi ufuq pe wo pahle si surkhiyan bhi nahin asir-e-jism hai jaan aur ye badan apna kamal ka hai qafas jis mein tiliyan bhi nahin gai hai un pe bhi ab us ki barq-bar nazar darakht jin pe hamare to aashiyan bhi nahin suluk us ne mohabbat mein wo kiya 'bebak' hua jo hum se adawat ke darmiyan bhi nahin