kisi maqam pe hum ko bhi rokta koi magar udae liye jati hai hawa koi tamam-umr na mujh ko mila wajud mera tamam-umr mujhe sochta raha koi mujhe samet lo ya phir uda ke le jao ye kah ke rah-e-talab mein bikhar gaya koi yunhi sadaen na do khamushi ke sahra mein hawa chalegi to aa jaegi sada koi kisi ko apni nigahon pe eatibar na tha hamein hamari tarah kaise dekhta koi hazar sang hain rahon mein ab bhi soe hue ye aur baat hai hum ko jaga gaya koi badan ke dasht ko hum jis se par kar lete kahin mila na hamein aisa rasta koi main band kamre mein khamosh rah to sakta hun mere badan mein agar ghut ke mar gaya koi