kisi ne kar liya ahd-e-wafa malum hota hai

kisi ne kar liya ahd-e-wafa malum hota hai
hua hai dard apni khud dawa malum hota hai

tere safhe pe hasti ye likha malum hota hai
ki insan ek musafir hai thaka malum hota hai

idhar yaaden teri hain aur udhar dil ki ragen tuti
bichhadta ek se ab dusra malum hota hai

wahi yaaden hain lekin kaifiyat hai dusri dil ki
wahi hai dard bhi lekin juda malum hota hai

kisi surat nahin badhte qadam ab su-e-manzil ko
koi kanta hai pairon mein chubha malum hota hai

teri yaadon se tanhai mein taskin dil ko hoti hai
diya hai dard aisa jo dawa malum hota hai

zamane ke ghamon ke sath hai dil mein tarah gham bhi
magar har gham se tera gham juda malum hota hai

bhadakte hain teri yaadon ke shoale har nafas dil mein
makan ek dur se jalta hua malum hota hai

muqabil aate hi un ki wo aankhen dabdabai si
mujhe ab ahd-o-paiman tutta malum hota hai

zamane ke sitam hain aur dil mein teri yaaden hain
bujha degi hawa shayad diya malum hota hai

pareshan dard tera ho gaya dil mein mere aa kar
makan mein ye makin shayad naya malum hota hai

nigah-e-khas teri ho gai shayad nazar mujh par
jigar mein dard mujh ko phir siwa malum hota hai

na koi zikr hai tera na tera nam hai lab par
magar mushkil mein ye dil mubtala malum hota hai

wahi yaaden hain lekin dil shagufta ab nahin hota
wahi hai saz lekin be-sada malum hota hai

nahin hai dil mein aur yaadon mein mana rabt wo baqi
magar ek dard hai jo silsila malum hota hai

wahi tabaniyan 'ashraf' hain tere azm ki ab bhi
ba-zahir harf hai to aur mita malum hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close