kisi pe bar-e-digar bhi nigah kar na sake koi bhi shauq ba-hadd-e-gunah kar na sake ujadd-pane mein talab kar gae jawaz-e-khata khizar ke sath bhi hum to nibah kar na sake dayar-e-hijr basaya hai jo ki barson mein dam-e-visal ki khatir tabah kar na sake aman talab na hue dasht-e-be-panah mein hum sawad-e-jaan bhi magar harf-e-rah kar na sake safar-maab yahi bahr-o-bar hai phir bhi hum paron ko apne kusha khwah-makhwah kar na sake