kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun main tir kis ka hun kis ki kaman se chalta hun main thak gaya hun thahar kar kisi samundar sa ba-rang-e-abr tere aastan se chalta hun tu chhod dega adhura mujhe kahani mein isi liye main teri dastan se chalta hun jo mere sine ke baen taraf dhadakta hai usi ke naqsh-e-qadam par wahan se chalta hun yahan se chalne ka matlab to aur hai lekin main thak chuka hun meri jaan yahan se chalta hun ab agar chahe to logon ke beach le aana main aaj apne tere darmiyan se chalta hun na jaane kaise safar mein hun mubtala 'fayyaz' wahin pe aata hun wapas jahan se chalta hun