kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo to us basti mein rahiyo par na rahiyo safar karna hai aakhir do palak beach safar lamba hai base bistar na rahiyo har ek haalat ke beri hain ye lamhe kisi gham ke bharose par na rahiyo suhulat se guzar jao meri jaan kahin jine ki khatir mar na rahiyo hamara umr-bhar ka sath thera so mere sath tu din-bhar na rahiyo bahut dushwar ho jaega jina yahan to zat ke andar na rahiyo sawere hi se ghar aajaiyo aaj hai roz-e-waqia bahar na rahiyo kahin chhup jao na khanon mein ja kar shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo nazar par bar ho jate hain manzar jahan rahiyo wahan aksar na rahiyo