kisi se bhik mein zad-e-safar nahin leta

kisi se bhik mein zad-e-safar nahin leta
main chikh chikh ke dad-e-hunar nahin leta

mera nasib hai khana-badoshiyan meri
kahin bhi jaun kirae ka ghar nahin leta

har ek jang mein wo kaamyab hota hai
zahin hath mein tegh-o-tabar nahin leta

main apni zau se ugata hun chand aur tare
hawaen lakh chalen main asar nahin leta

pata nahin hai ki kis haal mein kahan hun main
kai dinon se main apni khabar nahin leta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close