kisi se laDaen nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni fursat kahan

kisi se ladaen nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni fursat kahan
uthaen kisi mah-paikar hasina ke jaur-o-sitam itni fursat kahan

zamane ki be-rahmiyon ke tasadduq dimagh-e-nashat-o-alam hi nahin
dil apna kare aarzu-e-jafa ya umid-e-karam itni fursat kahan

dubo den mai-e-nab ki mastiyon mein falakat ke nakbat ke ehsas ko
bana len kisi aamiyana se kuze hi ko jam-e-jam itni fursat kahan

hon aazad-e-afkar lekin tafakkur mein dube hue se rahen raat din
tabiat ki be-wajh afsurdagi ke maze luten hum itni fursat kahan

na mazi hamara na mustaqbil apna kuchh is taur se harf-e-imroz hain
gham-e-dosh ya fikr-e-farda mein 'akhtar' karen sar ko kham itni fursat kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close