kisi surat masafat mein kami hone nahin dete

kisi surat masafat mein kami hone nahin dete
shajar be-dard hain chhanw ghani hone nahin dete

sahar hote hi har jaanib dhuan sa phail jata hai
ye baadal is nagar mein raushni hone nahin dete

wo roz-o-shab hamein eazaz par eazaz dete hain
magar ehsas-e-zillat mein kami hone nahin dete

ta'alluq kuchh bhi ho qaem had-e-fasil to rahti hai
wo hum se dosti ya dushmani hone nahin dete

bujha dete hain jo jalta chamakta jagta suraj
kisi ko raat ka ehsas bhi hone nahin dete

wo sail-e-tund-khu hain barq ki surat guzarte hain
koi diwar raste mein khadi hone nahin dete

jala kar khak kar dete hain jo taza shagufon ko
wo suraj hain jahan mein tirgi hone nahin dete

wo hum ko nit nae khwabon ke aaine dikhate hain
magar ummid ki surat-gari hone nahin dete

use jaane nahin 'shahzad' dete hum tasawwur se
kabhi viran hum dil ki gali hone nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close