kisi surat na un aankhon ke asar se nikle

kisi surat na un aankhon ke asar se nikle
kitne hi rang mere dida-e-tar se nikle

ek hasin khwab ki tabir mein ghar se nikle
hum asiran-e-wafa chahe jidhar se nikle

pahle sarsabz kiya us ne mohabbat ka shajar
phir samar sare usi ek shajar se nikle

lams se us ke badhi aur bhi parwaz-e-junun
us ke hamrah jo khushbu ke safar se nikle

sare asrar shab-e-wasl pe khulte hi gae
phir to ashaar mere lal-o-gohar se nikle

phir koi rang numudar ho surat se teri
husn sara hi kisi dast-e-hunar se nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close