kitab-e-hijr mein ek harf-e-na-rasa ki tarah

kitab-e-hijr mein ek harf-e-na-rasa ki tarah
mujhe bhi likhe koi john fariha ki tarah

bhale ye hath bandhe hain magar ye kajal hai
so phail jata hai ek kasa-e-gada ki tarah

wo mujh se milta tha har bar apni sharton par
kabhi khata ki tarah aur kabhi saza ki tarah

mujhe satati rahen titliyan shararat se
gulon ki baat wo karta raha saba ki tarah

jo baat karta tha mujh se mere hi lahje mein
na aaya laut ke wapas meri sada ki tarah

ye baat tai thi ki rahna hai ajnabi ban kar
so odh li teri beganagi rida ki tarah

hamare bich agar kuchh nahin to phir kya hai
nibhate rahte hain donon jise wafa ki tarah

mujhe hi jaldi thi kuchh kaam aur nipta lun
wo aa ke baitha tha achchha bhala sada ki tarah

kisi ke hathon ki garmi se jab mili thandak
tu yaad aa gai 'sima' mujhe rasa ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close