kitab-e-kashf ki pahli kahani likh raha hai

kitab-e-kashf ki pahli kahani likh raha hai
mere andar koi kashfi kahani likh raha hai

lahu aur ashk mein bhiga hua chup ka parinda
kahani likhne wale ki kahani likh raha hai

mere aiwan-e-hairat mein kahani-kar koi
kahin baitha hua sachchi kahani likh raha hai

main har kirdar mein us ke muqabil aa gaya hun
mera ham-zad ye kaisi kahani likh raha hai

bada be-rahm hai saffak hai gustakh hai wo
so apne ahd ki puri kahani likh raha hai

badi achchhi kahani hai hawa aur baadban ki
musafir to badi achchhi kahani likh raha hai

usi ka hausla hai jo khizan-rut mein bhi 'shaukat'
gulabon se mohabbat ki kahani likh raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close