kitab-e-zindagi ka har warq kahne ko sada hai

kitab-e-zindagi ka har warq kahne ko sada hai
magar jo kuchh bhi likkha hai huruf-e-khun mein likha hai

ye sari shan-o-shaukat kuchh nahin nazron ka dhoka hai
asasa aashiyane ka jise kahte ho tinka hai

lahu de kar jo sincha tha gulistan-e-wafa hum ne
gulon ke jism se wo rang ban kar phut nikla hai

ye meri khush-nasibi hai ki us but ne ba-dast-e-khud
sar-e-fihrist diwanon mein mera nam likkha hai

hawaen dhundhti phirti hain us mard-e-mujahid ko
faraaz-e-dar par jis ne charagh-e-zist rakkha hai

yaqinan zakhm-e-dil ke sare tanke tut jaenge
teri nazron ka jadu dil pe shoala ban ke lapka hai

kabhi shahr-e-tamanna mein to aa kar dekh jate wo
dar-o-diwar par har samt kis ka nam likkha hai

sitam ka aur mauqa us ko mil jaega ai 'hairat'
isi bais wo jine ki duaen mujh ko deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close