kitna hasin tha tu kabhi kuchh KHayal kar

kitna hasin tha tu kabhi kuchh khayal kar
ab aur apne aap ko mat paemal kar

marne ke dar se aur kahan tak jiyega tu
jine ke din tamam hue intiqal kar

ek yaad rah gai hai magar wo bhi kam nahin
ek dard rah gaya hai so rakhna sambhaal kar

dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha
khush the tamam nekiyan dariya mein dal kar

khwaja ke dar se koi bhi khali nahin gaya
aaya hai itne dur to 'alwi' sawal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close