kitne mahan log jahan se guzar gae kya chiz hain hum aap ki jab wo bhi mar gae ek gard uthi waba ki chhati to nazar padi hae wo aqraba wo ahibba kidhar gae ghairon ko kya khabar maze apnon se wasl ke tum jaano maut is ko miyan hum to ghar gae aakhir khula pada jo buton se moamla hum ji hi ji mein khush the ki lo hum sanwar gae waiz tha khush ki kan khade waz se hue ghar se chale the khar jo gae bhi to khar gae nazren nahin bachaen to but-ha-e-marmarin aankhon ki rah se kahin dil mein utar gae ek ba-khuda ki khush-nazari kaam kar gai aae the milne 'shah' laga ke nazar gae