kitni bhali hai duniya ya phir buri hai duniya jaisa mizaj mera waisi lagi hai duniya is ke sanwarne mein haalat bigad rahi hai jo daimi thikana wo dusri hai duniya dil se nikalne mein taklif ho rahi hai kin muddaton se mere dil mein rahi hai duniya nichi nigah rakhna daman bacha ke chalna kanton bhari andheri tedhi gali hai duniya rakhta hai yaad rab ko kab kab kahan kahan tu bas dekh le yahi tu kaisi saji hai duniya aamal ki zaban se jo hain khuda ke munkir un ke liye to aakhir sab kuchh yahi hai duniya masumiyat ko apni jis ne jawan rakkha us ke liye to yaro budhi badi hai duniya qudrat ki neamaton ka inkar kyon karun main uqba sanwarne ko mujh ko mili hai duniya main jo bhala hun 'makhfi' sare bhale lage hain kyunkar kahun bhala main kitni buri hai duniya