kitni hi be-zarar sahi teri KHarabiyan

kitni hi be-zarar sahi teri kharabiyan
'basir' kharabiyan to hain phir bhi kharabiyan

haalat jagah badalne se badli nahin meri
hoti hain har jagah ki kuchh apni kharabiyan

tu chahta hai apni nai khubiyon ki dad
mujh ko aziz teri purani kharabiyan

junhi talluqat kisi se hue kharab
sare jahan ki us mein milengi kharabiyan

sarkar ka hai apna hi mear-e-intikhab
yaro kahan ki khubiyan kaisi kharabiyan

aadam khata ka putla hai gar man len ye baat
niklengi is kharabi se kitni kharabiyan

un hastiyon ki rah pe dekhenge chal ke hum
jin mein na thin kisi bhi tarah ki kharabiyan

boenge apne bagh mein sab khubiyon ke bij
jad se ukhad phenkenge sari kharabiyan

'basir' kei shakhsiyat bhi ajab hai ki is mein hain
kuchh khubiyan kharab kuchh achchhi kharabiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close